advertise with ongsono.com
 

Blog Post Ko Good Se Best Post Kaise Banaye

Posted on Wednesday, 23 March 2016



jab bhi aap apna post likhte hai to ap sochte honge jaldi se post likh kar ise publish kar de aru fir sochte hai apke blog par jyada visitor aye aur apke blog ka traffic bhi acha ho jaye par sirf post likhne se kam nahi chalne wala apko apne blog post ko good nahi banana apko best post likhna padega kyuki aap yeh to jante hi honge blogging me aaj kal kitna competition hai to apka kam sirf good post likhne se nahi chalne wala apko apne post ko best post banana padega to is post me apko bataunga ki blog post ko good se best kaise banaye.
blog-post-ko-best-kaise-banaye


post likhne se pehle Research kare


post likhne se pehle Research karna bahut jarui hota agar ap bina research kiye kuch bhi likh kar post kar doge to iska kya matlb nikalega koi apke post nahi padega post likhne se pehle  research karna jaruri hta hai is se apko yeh pata chalta hai kahi yeh post dusri websites or blog par pehle se hi post to nahi kiya hua ho.
 agar kiya bhi gya hai to us post se ap apne post ko likhne ka knowledge mil sakta hai waise mere hisab se to aap agar unique post dale to wo jyada acha rahega.

bina research kiye gaye post ko dal kar ap kabhi readers ko target nahi kar sakte kyu apko yeh pata hi nahi rahega is post ki kisi ko jarurt hai bhi ya nahi, post likhne se pehle apko post ki value pta honi chahiye is se apko acha post topic select karne me hep milegi.


aisa post likhe jo readers ko samj me aye aur helpful ho


apne blog par hamesha poist aisa dale jo apke reader ko ache se samj aye ,samj ane ka matlb yeh hai ki aap post me jo bhi apne readers ko bata rahe hai wo unhe puri tarha se samj aye aur unko us post se kuch help mile.

kai baar aisa hota hai kuch blogger jo post me samjhana chahte hai wo readers ko thik se samaj nahi aa pata ,ho sakta hai aisa mere reader ke sath bhi kabhi hua hoga mene jo post dala uska matlb unko samaj me nahi aya ho.

man lo agar aap koi tutorial likh rahe ho to us tutorial ko aisa likhe jo bilkul readers ko samaj me aa jaye aur unke liye helpful ho. 

aap jo bhi post likhe usme important points ko highlight karna na bahule is se apke reader ka post par attention badhta hai.


Post publish karne se pehle Editing karna na bhule







aap jo bhi post likhe usko publish karne se pehle edit karna na bhule ,edit karne se mera matlb hai content me galtiya check karna man log aap koi post likh rahe hai kai baar aisa hoga hai apne koi word galt use kar liya ho ya kisi keywords ko sahi jagha use karna bhul gaye ho to agar aap use post karne se pehle edit karke sahi karenge to apke post ki quality bhi achi ho jayegi.
bahut baar aisa hoga hai kuch log post likhte hai aur post likhne ke baad usko edit karne me bahut aalas karte hai ek baar post ban jata hai to unko aisa lagta hai kab ise publish kar do aur wo post ko edit kare bina hi publish kar dete hai is se post ki quality kharab hoti hai aur apke readers par bi galat asar padta hai.


Text formating par dhayn de


Blog post likte time text formating karna bahut jaruri hoga hai apjo bhi fonts aur text apne blog par use kare wo apke readers ko padhne me acha lagna chaiye kai baar aisa hoga hai ki agar koi jab blog ko small screen par dekhta hai to luska text thik se dikhai nahi deta ya aaj sa bada chota dikhai deta to iske liye apko apne post me text formating karna hogi apne post me ache fonts ka use karne hoga jo sabhi screen size ke liye suitable ho.

Text formating ke liye kuch important Point

  • Apne blog  paragraph ko jyada bada a likhe. agar apke post ka paragraph jyada bada hoga to apke readers ko apka post boaring lag skta hai .
  • Important point ke liye bullet point use kare.
  • Jarurt ke hisab se heading ka use kare.
  • Post ko effective banane ke liye bold ,italic text jarur use kare.

Jyada bada Post na likhe


mene bahut se blog pe padha hai ki kam se kam 1000-2000 words me post likhe etc par aisa nahi hota  post ka bada hone se kyada jaruri post ka content useful hona jyada jaruri hai man lo agar apne 2000 words me post likh diya aur wo padhne layak nahi hai to apke readers post ko bich me bina padhe hi chod denge aur apke post likhne ka koi matlb nahi reh jayega agar apke post me content useful hai to wo apne aap search engine me achi rank par aa jayega apko post ko bada karne ki jarurt nahi hai jitna jaruri ho utna bada post hi likhe.


Last Words


aap post kaisa bhi likhe bada likhe ya chota likhe apka content important hoga to apke blog par traffic jarur ayega baki yeh baat to jaan hi gaye hai ki blog post ko good se best post kaise banaye agar jo bate maine batai hai wo agar aap post likhte time apne content me apply karoge to apki post sach me bahut effective ho jayegi .




Read more about Blog Post ko Good se Best Post kaise banaye



Related read :

My Blog Post on ESSENZA
My Blog post Event: International Coffee and Chocolate Exhibition 2014 has featured on ESSENZA. Sam. Master roaster.     ESSENZA   ESSENZA. Sam. Master
SiteScrape-Turn any page, blog post, or article on the net into your very own
SiteScrapeTurn any page, blog post, or article on the net into your very own sales page.   Includes both WordPress and stand alone versions.The best part: Its FREE!  -Scrape
Off-Page SEO kya hota hai aur Off-Page SEO se blog ka Traffic kaise badhta hai?
Agar SEO se hum baat kare to OFF-Page Optimization  bhi utna hi jaruri hota hai jitna ki On-Page Optimization. READ:On-Page Optimization Off-Page Optimization se hamari blog or website ki
Inilah Recent Post Atau Posting Terbaru Dilengkapi Thumbnails Terkeren
Inilah Recent Post Atau Posting Terbaru Dilengkapi Thumbnails Terkeren - Hello sobat jumpa kembali dalam posting terbaru Sohib SEO kali ini. Hib, kali ini admin akan membahas salah satu widget yang