advertise with ongsono.com
 

Entrepreneur Aur Entrepreneurship Kya Hoti Hai (what Is Entrepreneur And Entreprenurship In Hindi)

Posted on Friday, 18 March 2016




aaj mai gotrickr par kuch alag post kiya hai kya aap log jante hai ki entrepreneur aur entrepreneurship kya hoti hai ? agar nahi jante to koi baat nahi aaj hum is post me dekhnge ki entrepreneur aur entrepreneurship kya hoti hai.sabse pehle hum dekhte hai ki entrepreneurship kya hoti hai ?

what-is-entrepreneur-and-entreprenurship



entrepreneurship kya hai?






entrepreneurship ek process hoti hai jisme kisi bhi idea ko lekar business ka development kiya jata hai aur ise ek fayedemand(profitable) business me convert kiya jata hai.

dosto apko lag raha hoga ki entrepreneurship ki defination to bahut hi aasan h yeh me apko kyu bata raha hu par apko yeh nahi pata entrepreneurship ek bahut hi hard process hoti hai kisi bhi idea ko business me change karna itna aasan nahi hota dosto apne dekha hoga jab bhi koi new business start karta hai to wo pehle ek choti si shop khola hai par fir aap usko kuch mahine baad dekhte ho to wo shop aur badi aur achi ho jati hai aise hi jab aap usko 2-3 years baad dekhte ho to wo choti shop ek bada business ban jati hai isi ko hum entrepreneurship kehte hai .

entrepreneurship word jitna kathin(tough)dikhta hai isse bhi jyada tough iski process hoti hai kyuki kisi bhi business ko zero se start karke ek baad profitible business banana aasan nahi hota par yeh nanumki bhi nahi hota yeh hum apne india ki top entrepreneur se sikh sakte hai jinhone aaj apne business ko  itna bada bana liya hai jinko log sirf hamari country me hi nahi balki puri duniya me bhi jante hai.







chaliye ab dekhte hai entrepreneur kya hota hai.

entrepreneur kya hota hai

entrepreneur wo hota hai jo ek chote se idea se business start karta hai aur usko ek bade profitable business me change karta hai. entrepreneur ko smajne ke liye hum yeh bhi keh sakte hai ki entrepreneur ek initiator hota hai jo bahut mehnat karke kisi bhi business ko bada banata hai wo har time apne business me kuch naya karne ki kosis karta hai aur us business ko ek bade business aur company me change kar deta hai.

ek entrepreneur me itni power hoti hai ki wo apne ek chote se idea se apne sapne ko reality me badal sakta hai .

entrepreneur kisi car ke driver ki tarha hota hai jo ek acha leader hota hai jo apni puri team ko inspire karta hai aur success ki aur le jata hai .entrepreneur  hota hai jo har time apne business ko charge karta hai aur use ek bade mukam par le jata hai.

ek acha entrepreneur banna aasan nahi hota iske liye bahut hi mehnat aur sabra ki jarurat hoti hai  



entrepreneur right opportunity aur resources ko find karta hai agar aap ek acha entrepreneur banna chahte hai to apko business ke liye ek acha idea chaiye hoga aur idea ke sath business ko chalane ke liye team ki bhi jarurt hoti hai agar ko bhi person entrepreneur banne ki soch rakhta hai to usko apne business ko start karne se pehle acha bura pata honga chaiye usko un entrepreneur ke baare me achi jankari hona chahiye jo success hue hai.

entrepreneur ke baare me to hum ne jan liye entrepreneur ka topic bina successful entrepreneurs ke name ke bina pura nahi hoga to ab hum dekhnge hamare india ke top entrepreneurs konse hai.

India ke entrepreners ke name                              Company 

Azim Premji                                                         Wipro

Dhirubhai Ambani                                                 Reliance Industries

Sachin Bansal and Binny Bansal                             Flipkart
Lakshmi Mittal                                                     ArcelorMittal







yeh sirf kuch hi entrepreneurs ke name hai hamare india me bhi entrepreneurs ki kami nahi hai par me sabhi ke name likhunga  to yeh post bahut lambi ho jayegi baki entrepreneurs ke baare me hum ek alag post me discuss karnge chaliye hum ne yeh to jan liya entrepreneur kya hota hai unke name bhi dekh liye par kya ek entrepreneur baana itna aassna hi hai nahi na tabhi to sabhi log entrepreneur nahi ban pate unme kuch alag quality to hoti hogi tabhi to yeh sab itne successful hai to chaliye ab hum dekhnge ki ek successful entrepreneur me konsi quality hoti hai.



ek ache entrepreneur me quality


planning ki ability- ek acchi planning  ,entrepreneur ke liye bahut jaruri hoti hai agar koi bhi insaan ki lakshya(goal) ko pana chahta hai to usme planning ka bahut bada role hota hai bina planning ke koi  entrepreneurship success nahi ho sakti.
ek business me bahut si chezo ki planning karni hoti hai jaise financial ,marketing,production etc.

Communication skill-  entrepreneur aisa hona chaiye jo apne bato ko logo ko samja sake aur unhe kam ke liye samjha sakte apne, idea ko discuss kar sake in sab chezo me achi communication skills hona bahut jaruri hai.

leadership skills- ek acha  entrepreneur banne ke liye leadership skills bahut jaruri hoti hai ek acha leader wo hota hai jo logo ko apne goal ko pane ke liye motivatekarta karta rahe aur logo ko us kam ke liye lead karta rahe matlb aage badhata rahe.


Final words  


ek acha  entrepreneur baana itna aasna nahi hota apne logo ko business me fail hote hue suna hoga uska sabse bada karan hota hai unka business plan aur idea acha nahi hota par job koi bhi insan fail hota hai to yeh jaruri nahi wo aage kuch nahi kar skta is asafalta se kuch sikhna chaiye aur fir aage badna chaiye.

par last me sirf yahi kahunga ki ek acha  entrepreneur wo hota hai jo dusro ki galtio se kuch sikhe aur apni safalta(success) ke raste banaye.


agar apko meri post achi lagi to social network par jarur share kare agar ap bhi ek acha  entrepreneur banna chahte hai aur apke paas ko acha idea hai to comment kare.


thankyout    Go on trickr way.


Read more about entrepreneur aur entrepreneurship kya hoti hai (what is entrepreneur and entreprenurship in hindi)



Related read :

Albany New York Entrepreneur Adam Green Announces
Taiwan/ Adam Green, an Albany New York entrepreneur, is thrilled to announce that the Xocai Team Elite online meeting for new Taipei City MXI Corp Xophoria consumers will be held on June 1. To join
Lifestyle of a Qatar Entrepreneur
by Sunova Surfboards Lifestyle of a Qatar Entrepreneur When you own a business and choose to be a self-employed professional, you are your own boss. You offer yourself a number of privileges; it is
kiss day sms in hindi to say Happy Kiss day 2014
kiss day  sms in hindi to say Happy Kiss day 2014Kissing Day Message and Kiss Day sms are available for the users to say Happy Kiss Day 2013. Here is the list of the latest Kiss day quotes and
Romantic SMS in Hindi
Romantic SMS in Hindi 2013 : Get some mind blowing and beautiful Romantic SMS in Hindi. I have collected some very uncommon collection of Romantic SMS in Hindi. Hope you will enjoy those SMS. Check